[Hot] Adsense Account Approve Kaise Hota Hai
Adsense Account Approve Kaise Hota Hai
Jaisa ki aapko pta hai adsense ek best contextual advertisement service hai jo google ke dwara banayi gayi hai, Google ne adsense approval process me thoda sa change kiya hai jis se naye publishers ke liye ye thoda aasan ho gaya hai.Adsense Account Approve Kaise Hota Hai |
Adsense Account Approval Process :-
Bas aapko dekhna hai ki aapki website/blog adsense ke approval ke layak ho gayi hai, aur fir aapko adsense par Signup karna hai, ad code apne blog/website par lagana hai.
Adsense code aapki website par add karne par blank ad dikhne lagega aur jaise hi aapka account verify hoga, aapki website par google ads show hone lagenge.
Aapka account review hone me lagbhag 48 ghante lagenge, account approve hone par apke paas adsense ki taraf se email aayega
Jab aapki adsense earnings 10$ se jyada ho jayegi, aapke address par verification code aayega jisko adsense account me enter karke aapka address verify karna hoga.
Ekbaar address verify hote hi aapka adsense account puri tarah se verify ho jayegi aur aap adsense payment receive kar sakoge.
Adsense address verification me thodi problem aati hai kyoki verification code aapke address tak nahi pahuch pata hai, iske liye niche diya gaya post padhe jisme bina verification code ke address verify karne ka tarika bataya gaya hai.
Aap aapni adsense earnings ko direct bank account me transfer kar sakte hai, nice diye gaye post me iski puri Jankari di gayi hai.