[Hot] Adsense Address Verify Kaise Kare With PIN or Without PIN

 Adsense Address Verify Kaise Kare With PIN or Without PIN

Adsense ki earnings recieve karne ke liye address verification jaruri hota hai, India me jab aapki 10 $ earnings complete ho jati hai to google ke dwara aapke address par verification code bheja jata hai jisko adsense account me enter karke verify karna hota hai.


Adsense Address Verify Kaise Kare
Adsense Address Verify Kaise Kare


Agar aap address verify nahi karoge to aapka payment hold par rakha jayega, iske alawa pahla code generate hone ki date ke baad 4 mahine pure hone tak address verify nahi hua to aapki website/blog par ad units show hona band ho jayegi.

Ye adsense account Verification code 10 $ complete hone ke baad courier ke jariye us address par bheja jayega jo aapne account banate time dala tha, PIN generate hone ke baad lagbhag 4 week me courier ke jariye aap tak pahuchega. Jaldi bhi pahuch sakta hai Ye time aapki location par depend karta hai.

Adsense Address Verify Kare With PIN :-


Jab aapke paas verification code aa jaye to apna google adsense account open kare, top right side me Setting icon par click kare.
Uske baad left sidebar me Account Information par click kare.

Google adsence, Google adsence verify process
Google adsence

Yaha Verify Address link milegi uspar click kare, Ek page open hoga jaha verification code enter karke Submit Pin par click kar de.

Google adsence address link
Google adsence address link


Note :- Address verification ke liye bheje jane wale teeno code same hote hai, Isliye dusre code ke liye apply karne ke baad agar pahla code aa jaye to aap use submit kar sakte hai.

Adsense Address Verify Kare Without PIN :-


Generally adsense users ko address verify karne me pareshani hoti hai kyoki unke paas verification code nahi aata hai, Isliye me aapko bina adsense verification code ke account verify karne ke baare me bta rha hun.
Aap sirf 3 baar new code ke liye apply kar sakte hai, Last code generate hone ke baad 4 week me aapko code nahi milta hai to Government Approved ID se verify karne ka option aata hai.
Adsense Address Verify Kaise Kare With PIN or Without PIN
India me aap Aadhar Card use kar sakte ho, iske liye aapke id card me same address hone chahiye jo aapke adsense account me hai.

Apne Aadhar Card ko scan karke pdf file format me save kar le,
Address verification page par niche id card se verify karne ka option milega uspe click kare.

Adsense Address Verify Kare Without PIN
Adsense Address Verify Kare Without PIN


Yahapar mangi gayi details bharke apni id upload kare, aur Submit button par click kar de.
Lagbhag 30 minute ka wait karna hoga, Aapko adsense ki taraf se address verification ka reply mil jayega.

Iklan Atas Artikel

Iklan Tengah Artikel 1

Iklan Tengah Artikel 2

Iklan Bawah Artikel