[Hot] Blog Se Paise Kamane Ke 4 Tarike

Blog Se Paise Kamane Ke 4 Tarike

Jab hum blogging ki shuruat karte hai to humko blogging ke jariye paise kamane ke baare me jyada jankari nahi hoti hai, fir baad me pta chalta hai ki advertising ke jariye blog se paise Kamaye Jate hai aur jyadatar blogger sirf advertising earnings ko hi kamayi ka jariya banane lete hai baaki tariko ki taraf dhyan nahi dete.


Lekin dosto aapko bta dun blog se kamayi karne ke aur bhi tarike hai, agar kisi wajah se aapki income ka jariya kam popular ho jaye ya fir kam earning hone lage to kuch dusre tarike bhi hai jinke jariye aap accha paisa kama sakte hai.




Blogging me paise kamane ke ek se adhik tarike use karke aap jyada kamayi kar sajte hai, is post ke madhyam se main aapko batane ja rha hun blog se kamayi karne ke popular tarike jo jyadatar bloggers use karte hai.




Blog Se Paise Kamane Ke 4 Tarike
Blog Se Paise Kamane Ke 4 Tarike


Kuch bloggers achhi kamayi karne me safal nahi ho pate uska ek karan ye bhi hai ki wo alag-2 ad networks ko try karke nahi dekhte, agar aapke paas kisi private company se advertisement ki direct email aaye to aapko use try karna chahiye.


4 Tarike Blog Se Paise Kamane Ke Liye (Money making through blogging):-


1. Google AdSense

Maine AdSense ke baare me sabse pahle isliye bataya hai kyoki ye internet par mojud best advertising network hai jiske jariye aap blog se paise kama sakte hai.
Ab main aapko batata hun google adsense ko use kaise kare.

Sabse pahle aap adsense ke liye apply kare, iska tarika maine dusre post me bataya hai use padhne ke liye niche post title par click kare.


Jab aapke blog ko Adsense Approval mil jaye to AdSense ki ads ko apne blog par lagaye, jab bhi aapka koi visitors us ad par click karega to aapko paise mil jayenge, paise aapko CPC ke aadhar par milenge Jo har ad ke liye alag hoti hai.

CPC aapke blog ke topic par depend karti hai, adsense ke jariye aap 100$ se lekar 1000$ aur is se bhi per month aasani se kama sakte hai.

  • AdSense Se Kitne Paise Kama Sakte Hai


Yadi aapke paas free blogger blog hai aur aapka blog adsense ke liye approve ho gaya hai to aap iske jariye acchi kamayi kar sakte hai.

2. Affiliate Marketing


Kisi shopping website ke products ko apne blog ke jariye promote karke bechne ke tarike ko affiliated marketing kahte hai, agar aap unke product ko bech paate hai to aapko commission milega.

Normally commission 5% se lekar 50% tak bhi ho sakta hai, aapko iske liye affiliated program join karna padega. join karne ke baad aapko har product ki unique link milti hai jisko promote karke aap paise kama sakte hai.


Aap apne blog ke sidebar me product ka text ya image laga sakte hai, iske alawa aap apne post me affiliate link add kar sakte hai. aap kisi product ke liye alag se post likhkar use promote kar sakte hai, aisa karke aap jyada clicks prapt kar sakte hai.

3. Blog Sponsors


Jab aapko lage ki aapka blog badhiya perform kar raha hai aur traffic badiya hai to private advertisers ko advertising space offer kar sakte hai, ye aapki income ka stable tarika hoga jis par aapka jyada control hoga.

Jab aapke blog par badhiya traffic hoga to advertisers khud aapke pass aayenge aapko unhe dundhne ke jarurat nahi padegi.

4. Paid Reviews


Ye un blogs ke liye badhiya tarika hai jo bahut jyada traffic prapt kar rahe hai, isme aap kisi company ke product ka review post kar sakte hai aur bahut acche paise kama sakte hai.

Aapko kewal sahi product ko promote karna chahiye yadi aap aise product ko promote karte hai jo aapne use nahi kiya ya fir kuch spam hai to aapke readers ka vishwas aapse uth jayega jo aapke liye paise se jyada importance rakhta hai.

Aur bhi bahut se tarike hai jinke jariye aap blog se paise kama sakte hai lekin maine yaha par sirf wo tarike bataya hai Jo jyada popular hai aur jinse aap acchi kamayi kar sakte hai.

Iklan Atas Artikel

Iklan Tengah Artikel 1

Iklan Tengah Artikel 2

Iklan Bawah Artikel