[Hot] Blog Ki Search Engine Ranking Kaise Improve Kare

Blog Ki Search Engine Ranking Kaise Improve Kare 

Google me apne blog ki keyword search engine ranking kaise badhaye...? ye question har blogger ke man me aata hai, to dosto aaiye jante hai kaise aap apne blog ki ranking search engine ranking improve kar sakte hai.

Blog Ki Search Engine Ranking Kaise Improve Kare

Blog Ki Search Engine Ranking Kaise Improve Kare 

1. Blog Post Title Ko Optimize Kare

Post ka title hi search engine se logo ko tumhare post ko padhne ke liye aakarshit karta hai islye post ke title ko optimize karna bahut jaruri hota hai, post ke title me keyword jarur add kare.


Post ke title me hamesha Long Tail Keywords ka use kare, jaise aapka post Long Tail Keywords ke baare me hai to iska title Long Tail Keywords ke bajay "Long Tail Keywords Kaise Dunde SEO Ke Liye" aisa hona chahiye.

Iske alawa aapko actionable keywords ka bhi use karna chahiye post ke title me jaise ki "Updated" or "Step By Step Guide" etc. ye keywords waise to aapko khas nahi lagenge lekin aapko bta du aise keyword blog ki Click Through Rate(CTR) ko increase karte hai jo ki ek ranking factor hai.

Apne title tags ko lagbhag 55 characters ka rakhe, kyoki google 50 se 59 characters ko consider karta hai jiske hisab se average 55 character best hai post title ke liye.



2. Post Me Keyword Add Kare

Blog ki search engine ranking ko improve karne ke liye aapko apne posts ke bich me keywords add karna hota hai, iske liye aapko post me aise alag-2 keywords use karne chahiye jo same search value rakhte ho.ye aapke blog ke google par ranking me bahut jyada help karega.

Search engines bahut advanced ho gaye hai isliye sahi aur limited keywords ka use karna chahiye warna aapko post search me dhang se show ni ho payega.
  • Apne post ke lagbhag 2% words hi keywords use kare.
  • Achhi search engine ranking ke liye shuru ke 100 words me apne main keywords ko use kare.
  • Images me alt tags ka use kare, is se bhi blog ki search engine ranking par effect padta hai.


3. Internal Linking Bhi Kare

Apne hi blog se backlinks prapt karne ka sabse badiya tarika hai internal linking, ye bhi blog ki search engine ranking ko improve karega aur aapke old post ko readers tak pahuchane me madad karega.

Internal linking me aapko related post ko link karna chahiye, related posts link hote hai to visitor bhi usko padhna chahega.




4. Guest Blogging Kare

Waise to mujhe nahi lagta aap guest blogging ka matlab nahi jante honge fir bhi bta dun, guest blogging ka matlab hota hai dusre blogs par post dalna.

Guest post dalne par aapke blog ko backlinks milegi jo aapke blog ki search engine ranking me madad karti hai, guest post hamesha aapke blog se related blogs par hi kare ye aapko jyada fayda pahuchayega.


5. Dusre Blog Par Comment Kare

Ye bhi backlinks ke liye accha tarika hai jo search engine ranking me help karta hai, aap keywordluv or commentluv enabled blog search kar sakte hai apne desired links comment karne ke liye.

Aise blog jo spammy ho ya aapke blog niche se reloated na ho unpar comment nahi kare, aisa karne par aapka blog google ke dwara flagged ho sakta hai.


6. Social Sites Par Share Kare

Social sites par content sharing ek controversial factor hai search ranking improve karne ka, ye google me higher rank pane me bahut hi jayada help karta hai.
Jitna jyada social sites par share hoga utna hi referral traffic milege aur ye traffic jyada authority aur higher ranking wali sites se aayega to simple si baat hai search ranking to improve honi hi hai.

 

Iklan Atas Artikel

Iklan Tengah Artikel 1

Iklan Tengah Artikel 2

Iklan Bawah Artikel