[Hot] Blogger .Com Kya Hai Aur Blogger Par Blog Kyo Banaye
Blogger.Com Kya Hai Aur Blogger Par Blog Kyo Banaye (what is blogger.com)
Blogger.com google ke dwara banaya gaya ek platform hai jaha koi bhi apna account banakar blog bana sakta hai, ye free subdomain bhi deta hai jisko aap apne blog ke naam ke sath use kar sakte hai.
Ek account se 100 blog banaye ja sakte hai.
Pahle blog dusri hosting services par publish kiye jate the lekin ab google ka khud ka service hai jaha blog publish kiya jata hai, aap chahe to apna custom domain name bhi set kar sakte hai.
blogger.com ek free blogging platform hai jaha aapko kisi bhi tarah ka koi charge ni dena hoga aur aap aasani se blog banakar jo chahe wo publish kar sakte hai.
Blogger.Com Kya Hai Aur Blogger Par Blog Kyo Banaye |
Blogger Ke Features
Ab aapko pta chal gaya ki blogger.com kya hai lekin ab me aapko batauga ki blogger par hi blog kyo banaye.
Also Read:
Blog Ki Search Engine Ranking Kaise Improve Kare
Blogger Par Custom Domain Kaise Set Kare
Godaddy Custom Domain Blogger Par Kaise Set Kare
Blog Post Interlink Karne Ke Fayde
Goole Se Integrated Log In
Blogger google se direct linked hota hai isliye aapko alag se log in karne ki jarurat google account me log in karke aap apne blog ko manage kar sakte hai, aapko ek naam set karna hota hai blog ke liye aur uske liye aap free subdomain blogspot.com use kar sakte hai.
agar aapko custom domain lena hai to aap domain websites jaise godaddy ya bigrock se kharid kar blogger par custom domain setup kar sakte hai.
Technology Ki Knowledge Ki Jyada Jarurat Nahi
Blogger me pahle se hi bane huye template aate hai jo aasani se aap blog par set kar sakte hai, blogger par blog banane aur manage karne ke liye jyada technology ke gyan ki jarurat nahi hai.
Kai websites hai jo blogger ke liye template download karne ki suvidha deti hai aap waha se bhi template download karke apne blog par laga sakte hai.
Page, Forum, Discussion Group Aasani Se Bana Sakte Hai
Aap aasani se blogger par page, forum aur discussion group aasani se banakar unhe publish kar sakte hai, aap apne readers ko aapka blog subscribe karwa sakte hai jis se new post dalne par ya blog me kuch change karne par unko pata chal jayega.
Blog Hack Hone Ki Problem Nahi
blogger platform duniya ki no. 1 internet company google ke dwara banaya gaya hai jo iski hosting khud apne servers par karti hai isliye blogger par banaye blog ko hack karna impossible hai.
Country Specific
agar aap blogger ka subdomain blogspot.com use kar rahe ho to ye country ke hisab se automatic redirect ho jata hai jaise india me blogspot.in aur usa me blogspot.usa isliye yaha aap country specific blog bana sakte hai jo alag-2 counties ke users ko targe karta hai.
Bahut Se Blog Ek Jagah Manage Kar Sakte Hai
Blogger ke dashboard se aap apne sabhi blogs ko manage kar sakte hai aur aasani se ek blog se dusre blog me ja sakte hai jo bahut hi user friendly hai aur aapke kaam ko aasan banata hai.
Google + Par Automatic Share
Jab aap blogger par koi post likhar kar post karte hai to blogger platform aapke post ko google + page par automatic share karne ka feature deta hai, jis se aapko post aapke google + followers ke paas instantly pahuch jata hai.
Blogger Ki Mobile Application
Blogger ki mobile application se aap apne mobile se bina pc ke blog par post kar sakte hai. ye applicaton aapko suvisha deta hai ki jab aapko laptop/computer aapke paas nahi hai aur aapko koi post dalna hai to ye applicaton aapki help karegi.
Mobile Friendly Site
Blogger aapko mobile friendly blog banane ki suvidha deta, matlab agar koi aapke blog ko mobile me open karega to usko aapki site ko dekhne me koi dikkat nahi hogi wo aasani se aapke sare post dekh sakta hai aur post par comment kar sakta hai.
ye ek bahut hi acchi chiz hai kyoki aajkal 60% log mobile se internet par surfing karne lage hai isliye aapke blog ka mobile friendly hona bahut jaruri hai.